Thursday, September 24, 2015

Shayar gumnaam ho gaye

Jin cheezo ki koi keemat nahi thi ek waqt pe,
Aaj hum unke talabgaar ho gaye,
Mere kuch usool beintehaa kaam aa gaye,
Aur kuch bas gardisho me bekar ho gaye.

Tumahare liye duayein behisaab mangi hai nabi se,
Fir chahe hamare hisse me dagabaziyon ke ilzaam ho gaye,
Vese to meri khwahishon ki fehrist bahut hi lambi hai,
Par khush hoon dekhkar jitne bhi, haasil mujhe maqaam ho gaye


Chhoti si is jindagi me, qaafile badalne aasan nahi hote,
Dil me hi bs sochta tha ye, aaj sab kuch sare aam ho gaye,
Aankho se jo chhalkate the hamare liye kabhi aasoon,
Jo hum ruswa hone lage to hatho m unke chhalkate jaam ho gaye,

Jaha ja rahe hai, unke liye hum kaam ke intezaam ho gaye,
Jinhe nafarat thi mujhse unke liye aaj jashn-e-inteqaam ho gaye,
Thode jazbaato ko likhne chala tha bas,
Aur mehfilon me hum shayar gumnaam ho gaye

No comments:

Post a Comment